Saturday, May 12, 2012

Patta patta zindagi


Patta patta zindagi, bilakti si hui jo shuru
uss ped, uss maa ke aanchal main pali
dar dar ke rone main guzri, chhoti si zindagi hi to hai.

Hawao ke aane se khilkhila uthi thi jo
aandhiyo ki lapto main kapkapa rhi thi jo
chhoti si hi sahi, par zindagi to hai.

Pakde rhe jo haath, wo chhod nikal jaane ko
bilbila rahi zabano pe, dard ki baahon main 
khushi ki kilkaariyon main lipti
Teri meri zindagi hi to hai.

Toot ke ud gye jo khwaahisho ke dum se
Aasmaan chhoo lene ke armaano main uljhi
murjhaye hue unn palo main simti
tarasti tadapti, khamosh si zindagi ho to hai.

Raaton ki khamoshi main, din ke ujaalo main
Girti uthti kisi mod pe padi, uss aagaaz se iss anjaam tak
tere meri zindagi hi to hai.

3 comments:

Ankita said...

Hey well written

→ A said...

Amazing :) Very Beautiful . .

Anonymous said...

Your poetry has depth. I like that.
:-)